SEO Kya Hai What is SEO in Hindi (Complete Guide)

SEO Kya Hai? SEO क्या है और कैसे करते है?

Yaha complete tarike se janaege ki SEO kya hai aur apne blog ya site ka sahi tarike se SEO kare kare? SEO se blog par traffic kaise laate hai aur yah kyon jaruri hai, search engine optimization in Hindi.

Search engine optimization (SEO) ke name se hi chal raha hai ki kisi bhi website ya blog ko search engine ke liye optimize karna, yaani apne blog ya site ko search engine me rank hone layak taiyar karna.

Phir wo search engine koi bhi ho sakta hai jaise Googel, being, ask etc. Par most focus Google par hi rakhna faydemand hai.

Main is post apko beginner tarike se SEO ka har doubt ko clear karuga, search engine optimization ke andar hone wale important topic ko ke bare me bhi is post me link hai jisse SEO ko complete tarike se sikh sikhe.

Why Learn SEO? (SEO kyon Sikhe?) SEO का क्या महत्व है?


Internet par har website yar blog ka jyadatar traffic ya visitors Google se hi hokar ata hai. Jis bhi insan ko koi information aur help chahiye hoti hai to wo search engine me hi search karta hai.

Aur is tarah se log search engine me search karke website me enter hot hai jisme unki jarurat ki information aur help mil jati hai.

Agar apko Google ya kisi bhi search engine se users chahiye ki apki website par aye to apko pahle janana hoga ki apko apni website ko Google me first par kaise laye taki ko bhi search kare to use pahle number par apki website/blog ki information mile.

Point: SEO sikhna isliye jaruri hai kyun ki bina ise jane kisi bhi search engine se user ko aap apni website tak lane ke liye apni website search engine top rank par nahi la sakte.

Types of SEO (SEO Ko Kitne Part Me Maana Jata Hai?) ऑप्टिमाइजेशन क्या होता है?

सर्च इंजन ऑप्टिमाइजेशन कैसे करें?


Search engine optimization 2 tarah se kiya jata hai:

On-page SEO aur
Dusra Off-page SEO.
In dono types ko sahi tarike se samajh lene se apko SEO achhe se aa jata hai.

To chaliye pehle On-page SEO ko sikhte hai.

On-page SEO


Jo kubh bhi webpage ko design karne me karte hai jaise webpage ka title, description, headline, subheading, image, videos, speed etc. sab On-page process me ata hai.

Yani jo kuch bhi blog ko users ke liye better banane ke liye karte hai wo on-page SEO hai.

1) Site Speed
User ko chahiye hota hai ki apki website fast load ho, apki website kam se kam 5 secs me open honi chahiye. Agar isse jyada time leti hai to aapko image ki size kam aur theme fast load use karni chahiye.

2) Title
seo-title

Yah Google me blue color ka show hota hai, ise attractive hona chahiye jisse apke webpage par Google se jayda click mile.

Isme wo keyword dalnta hota hai jo Google me search hota hai, aur us keyword se ap chahte hai ki koi user search kare to pahle par aye.

Keyword: Search engine user jo Google me search karta hai us word ko Keyword bolte hai.

  1. Example: How to make a attractive and better blog? In less than 5 minutes

Upar title me keyword target hai: how to make blog

  1. Example: Quickly learn computer in less than one month in Hindi

Upar title me keyword target hai: Learn computer in Hindi

Title ko 70 characters se kam me rakhe.

3) Description
seo-description

Description users ko yah samjhne me madad karta hai ki apka webpage kis bare me hai, iske over keyword place nahi kare, ise attractive kare taki user ko 2-3 lines me pata lag jaye ki apka content ya article kis bare me hai.

Example: Agar article ka main theme hai: how to make blog to description is tarh hoga.

In this post you will learn everything about stating a brand new blog for better earning and high earning, this is a beginner complete guide for become a popular blogger.

Description ko 160 characters se kam me rakhe.

4) URL (Permalink)
seo-url

Permalink yani jo domain ke bad me web page ka addres.

Example: googletok.com/this-is-permalink

Permalink ko hamesha short rakhe, jo apka main keyword usi ko permalink kare aur is, are, am, jaise stop word use na kare.

5) Internal Link
seo-link

Internal links yani single content me us se related aur bhi content ke link place karna taki user ko aur information mile, yah Google earch engine ranking ke liye bhi bettter hai.

6) Responsive Design
Apki website ya blog mobile me fit screen aur perfect tarike se open honi chahiye, taki moible usre ko apki website ya blog ko open karne me koi bhi problem na ho.

Yaha click karke Google tool se apni website ya blog ka responsive check kare.

Off-Page SEO


Ya on-page SEO ka bilkul opposite hai. Jab site ke bahar koi bhi optimize karte hai jaise dusri website ya blog par link, social shares etc. sab Off-page optimization hai.

  1. Social Shares
    Apki website ki profile social sites jaise Facebook, Google+, Twitter etc. par bhi honi chahiye, Google search engine ranking (SERP) page par bhi impact dalti hai.
  2. Backlink
    Apki website ka link jab dusri website par hota hai to use backlink kahte hai, yah bhi 2 tarah ki hoti hai:

Do-follow backlink
No-follow backlink
Jab Google apki website ka link kisi dusri site par pata hai to Google apki site ki importance badhane lagtaa hai. Ek taraf se apko Goodwill/respect aur demand milti hai.

Yah bilkul usi tarah hai jab koi dukankadar kisi dukan ka address deta hai tab aap jaldi se yakeen kar dete hai.

Lekin dukan ka address dene wala dukandar bhi bharoselayak hona jaruri hai usi tarah apki website ya blog ka ka link jis blog ya site par hai wo bhi trusted aur famous honi chahiye jise quality backlink bolte hai.

Yah backlink guest post karke, ya comment karek bana sakte hai.

Related Post:

Android Mobile Me Hindi Font Me Kaise Likhe | How to Write & Type | Keyboard